Desi Dan Bilzerian Lyrics by King

Desi Dan Bilzerian Lyrics by King
Desi Dan Bilzerian Lyrics by King

Desi Dan Bilzerian Lyrics by King is the latest Punjabi song with music given by Section8. Desi Dan Bilzerian song lyrics are written by King himself and the video is directed by Yash Chhabra.

Yeah yeah yeah!

Jo jaante nai unko bhi lagun familiar
Bana main shakk se nai
Beshak karunga clear
Main maal phoonk ke na likhun
Yeh budhi tez itni
Albumein bana ke phekun
Ek below na million

Main mauj kaatun
Jaise desi Dan Bilzerian
Jo khaate khaar saale
Baithe aaj pavilion
Kal hi shaam aisi bandi se mila tha
Jiska naam peechhe Kaur
Par vibe thi Brazilian

Khelein hum aag se aur

Khelte hum raag se
Yeh bachche kitne bhi bade
Bade na baap se
Main naam rashi aisi rakhke ghoomta hoon
Bande kehte naam jeene ka
Tareeka seekhe aapse

Khulla khana khud kamana
Khul ke jeena jinse milta sab haseena
Jaise ghoomta baharon mein
Haan hoon kameena par nageena leke ghumu
Har maheena poora saal
Jaise jeeta hoon tyoharon mein

Haan thoda paapi main gaali deta kaafi
Par zindagi mein badhne ke liye
Kabhi na chaati
Teen button se bahar chhati
Shine maare proud se
Aur bhaichara rakhe na karte
Dekh ke hum jaati

Halla kaate poora hum
Jhund se dara na karte
Kare fateh poori
Adhuri jung lada na karte
Aaghaz maar de anjaam se jo pehle
Hum woh kaal hain beta jinke hath
Roshini dhara na karte

Khada ghamand hua to
Baat kyun baithate ho
Kamzor dekh ke hi hath kyun uthate ho
Akele mod di kalayi aflatunon ki
To duniya humse kehti
Itna keh ke kyun jatate ho

Jo raaz rakh le
Aisa raaz kis se raazi hai
Main haar ke bhi jeeta
Kheli aisi baazi hai
Yeh sach pasand nahi to
Kar lo apne kaan band
Main dheere dheere phaadun beta
Kaun si jaldbazi hai

Aakhein band karke bhi
Main dekhun duniya ko
Yeh duniya ghairon se bhi
Zyada apnon se mari huyi
Muthhi khol ke main
Kya hi lunga apno se
Jo apnon ki hi aankhein
Mere chehre se jali huyi

Mere hath donon bandh doge
Jhoothe ilzamon se to maan lunga
Ghairon ke tum sath ho
Magar har baat ka jawab deta hai yeh waqt
Meri baatein kadvi ya
Tum kitne dil ke saaf ho

Aaj bhi shikan naa mathe par tum dekhoge
Chahe khada akele
Chahe kitne peechhe vaar hon
Bhale manzoor na ho dushmanon se haarna
Par dil ke tukde hote hain
Jab dushmanon mein yaar ho

Ek din jab pata chalega sach
To pair zameenein chhod denge
Aakhein khud se rooth jayengi
Hum to baithe honge ponch se bhi door
Bekhabar tab jaani kadvi hi
Yeh baatein tumko khayengi

Apna kya hai hum to bande hi hain mood ke
Jahan milega pyar
Hum wahin pe dil lutayenge
Humse kya hi paoge tum dil dukha ke
Hum to iski bhi nazam bana ke
Pyar loot jayenge

Teen nashe the pyare
Ek aur jud gaya hai
Tarakki kehti raja
Mujhko leke udd gaya hai
Kehti pakad mein
Main na aati achhe achho ke
Par tujhmein aisa kya hai
Mera poora dhayan mud gaya hai
Ab kehti haar ka jua bhi jeetega
Main likh ke deti hoon
Zamana tere liye ruk gaya hai

Agar pata chale farak to marz kosega
Main kya hi hoon dawa
Tu khud zehar jo pee ke uth gaya hai

Jo jaante nai unko bhi lagun familiar
Bana main shakk se nai
Beshak karunga clear
Main maal phoonk ke na likhun
Yeh budhi tez itni
Albumein bana ke phekun
Ek below na million

Main mauj kaatun
Jaise desi Dan Bilzerian
Jo khaate khaar saale
Baithe aaj pavilion
Kal hi shaam aisi bandi se mila tha
Jiska naam peechhe Kaur
Par vibe thi Brazilian

Song Credit:-

  • Singer/Lyric: King
  • Composer: Section8

More Music:-

You may also like...